Woh Kaun Thi
TL

Letra de Woh Kaun Thi

GéneroPop
Duración4:17
Idioma originalTL
Vistas442
AaLectura
Tamaño 18

Letra original

TL
La traducción todavía no está disponible. Mostramos la letra original.
Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Woh khwab thi, Neend thi, khusboo thi, kya thi woh, Kya thi woh Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Kisi say na milti, Na woh baat karti, Magar muskaraahat, Nigaahon mein hoti Woh aayi thi jaisay, Kahin aasman say, Kisi kehkashan say, Na jaane kahan say, Jaane kahan say Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Woh aanchal samaitay, Kitabein uthaaye, Chali jaarahi hai, Nigahain chupaaye... Bohat shoq se main, Qareeb uskay jaata, Woh nazrein dikhaati, To kuch keh na paata, Kuch keh na paata Jaane kya tha un aankho mein, Dil ki dil mein reh gayi Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Woh khwab thi, Neend thi, khusboo thi, kya thi woh, Kya thi woh Woh kaun thi, Tamaam shehr us kay husn mein gum tha, Woh kya gayi, Kay phir to mustaqil khizaan ka mausam tha Woh kaun thi...

Más de Vital Signs

Vital Signs →

Letras relacionadas