Kaali ghata chhaaye mora
LG

Kaali ghata chhaaye mora 歌詞

ジャンルClassico
時間5:23
原文言語LG
閲覧数285
Aa表示設定
文字サイズ 18

原文歌詞

LG
翻訳はまだありません。原文を表示しています。
Kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye Aise mein kahi koyi mil jaaye re Bolo kisi ka kya jaaye re, kya jaaye re, kya jaaye Kaali ghata chhaaye Hu main kitni akeli woh ye jaanke - 2 Mere berang jeewan ko pehechaanke Mere haatho ko thaame hase aur hasaaye, Mera dukh bhoolaaye kisi ka kya jaaye Kaali ghata chhaaye Yuhi bagiyan mein dolu mein khoyi huwi Na to jaagi huwi thi na soyi huwi Mere baalo me koyi dheere se aake, Kali kya sajaay, kisi ka kya jaaye Kaali ghata chhaaye Uske raahe taku dil manaati phiru Har aahat pe naina bichhaati phiru Woh jo aayega kal na kyu aaj aaye, Mera man basaaye kisi ka kya jaaye Kaali ghata chhaaye

Geeta Dutt の他の曲

Geeta Dutt →

関連歌詞