Re Mama
MS

Re Mama 歌詞

ジャンルAlternativo Indie
時間4:31
原文言語MS
閲覧数447
Aa表示設定
文字サイズ 18

原文歌詞

MS
翻訳はまだありません。原文を表示しています。
Hey, you and me met, remember? Dekho yeh deewana maara gaya Sheeshe mein dil ke utaara gaya Haan, dekho yeh deewana maara gaya Sheeshe mein dil ke utaara gaya Kiski nigaahon mein yeh bas gaya Jaake bechaara kahan phas gaya Pyaar hua na, ay ay, re mama Dil to gaya na, haan haan, re mama Haan pyaar hua na, ay ay, re mama Haan dil to gaya na, re mama Naadaan hai tu na tujhko khabar hai Aasaan nahin yeh dil ka safar hai Mushkil badi hai yeh chaahat ki raahein Jeene na dengi yeh kamsin adaayein Zulfon ke saaye se bachke nikal Paagal anaari mere saath chal Dilbar nahin kaam hai yeh tera Tu maan le ab to kehna mera Pyaar hua na, ay ay, re mama Haan dil to gaya na, re mama Pyaar hua na, re mama Dil to gaya na, haan haan, re mama Mere labon pe hai teri kahaani Tere liye hai yeh meri jawaani Kya keh rahi hai yeh rangeen raatein Aaja kare milke chaahat ki baatein Yun mujhse daaman chhudaake na jaa Aise tu nazrein bachaake na jaa Taubaa meri tu kahan kho gaya Mere sanam, tujhko kya ho gaya Pyaar hua na, re mama Dil to gaya na, re mama Pyaar hua na, ay ay, re mama Dil to gaya na, re mama Dekho yeh deewana maara gaya Sheeshe mein dil ke utaara gaya Kiski nigaahon mein yeh bas gaya Jaake bechaara kahan phas gaya Pyaar hua na, ay ay, re mama Dil to gaya na, haan, re mama Pyaar hua na, re mama Dil to gaya na, re mama

Sunidhi Chauhan の他の曲

Sunidhi Chauhan →

関連歌詞