원문 가사
MS번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera - 2
Main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera
Har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
Ek se ho gaye mausamo ke chehre saare - 2
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera
Har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
Kis se pootchu ke kaha gum hu kai barso se - 2
Har jagah dhundhta phirta hain mujhe ghar mera - 2
Har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
Muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe - 2
Jaagta rehta hain har neend mein bistar mera - 2