Jaanch Liya
MS

Jaanch Liya 가사

장르Gospel / Religious
길이7:33
원문 언어MS
조회수750
Aa읽기 설정
글자 크기 18

원문 가사

MS
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Aye khudawand, tune mujhko Jaanch liya, parakh liya Mera uthana, baithanaa Mere khayal door se, jaan leta hai Mere raste aur meri khwabgaah, pata hai tujhe Har ravish se meri, waakif hai khuda Meri zubaan pe Har ek baat ko tu, jaanta hai Haath apna tune mere Aage aur piche rakha hai Main tere rooh se Bachkar ke kahan jaaonga Teri aankhon se bhala Kaise main, chup jaaonga Tu aasman ka khuda hai Tu samandar mein basaa hai Agar kahoon ke andhera Mujhe chupa lega Teri nazar mein ujala Andhera yaksaan hai Mere dil ko bananewala Khuda, hai tu hi Pet mein maa ke mujhe Tune meri soorat di Ajeeb taur se main bana Hairat angez, tere kaam Aye khuda tere khayal Mere liye, kitne hain Agar ginoo to ret se Bhi kahin zyada hain Jaag uthte hi tujhe Paas mere pataa hoon Dekh main tere dushmanon se Door rehta hoon Mujhe aazamaa, raah pe chala Har badi se, mujhko bachaa

관련 가사