Aji Humse Bachkar
BR

Aji Humse Bachkar lyrics

GenreWorld Music
Duration1:50
Original languageBR
Views135
AaReading settings
Text size 18

Original lyrics

BR
Translation not available yet. Showing the original lyrics.
Aji humse bachkar kahaan jaaiyegaa Jahaan jaaiyegaa hamein paaiyegaa Aji humse bach kar... Ye kaisa nasha hain ye kaisaa asar hain Na kaabu mein dil hain na bas mein jigar hain Zaraa hosh aa le to phir jaaiyegaa Thahar jaaiyegaa thahar jaaiyegaa Aji humse bach kar... Nigaahon mein chhupakar dikhaao to jaane Khayaalon mein bhi tum na aao to jaane Aji laakh parde mein chhup jaaiyegaa Nazar aaiyegaa nazar aaiyegaa Aji humse bach kar... Jo dil mein hain honthon pe laanaa bhi mushkil Magar usko dil mein chhupaanaa bhi mushkil Nazar ki zubaan ko samajh jaaiyegaa Samajh kar zaraa ghaur faramaaiyegaa Aji humse bach kar...

More from Mohammed Rafi

Mohammed Rafi →

Related lyrics