Main Shaayar To Nahin
English

Main Shaayar To Nahin şarkı sözleri

Süre4:27
Orijinal dilEnglish
Görüntülenme513
AaOkuma ayarları
Metin boyutu 18

Orijinal sözler

EN
Translation not available yet. Showing the original lyrics.
Main shaayar to nahin (Main shaayar to nahin, magar ae haseen Jab se dekha maine tujhko Mujhko shaayari aa gayi) - 2 Main aashiq to nahin, magar ae haseen Jab se dekha maine tujhko Mujhko aashiqui aa gayi Main shaayar to nahin (Pyaar ka naam maine suna tha magar Pyaar kya hai, yeh mujhko nahin thi khabar) - 2 Main to uljha raha uljhanon ki tarha Doston mein raha dushmanon ki tarha Main dushman to nahin Main dushman to nahin, magar ae haseen Jab se dekha maine tujhko Mujhko dosti aa gayi Main shaayar to nahin (Sochta hoon agar main dua maangta Haath apne uthaakar main kya maangta) - 2 Jab se tujhse mohabbat main karne laga Tab se jaise ibaadat main karne laga Main kaafir to nahin Main kaafir to nahin, magar ae haseen Jab se dekha maine tujhko Mujhko bandagi aa gayi Main shaayar to nahin, magar ae haseen Jab se dekha maine tujhko Mujhko shaayari aa gayi Main shaayar to nahin

Shailendra sanatçısından daha fazla

Shailendra →

İlgili şarkı sözleri