Qaafirana (feat. Nikhita Gandhi)
हिन्दी

Qaafirana (feat. Nikhita Gandhi) کے بول

صنفPop
دورانیہ6:16
اصل زبانहिन्दी
مناظر514
Aaپڑھنے کی ترتیبات
متن کا سائز 18

اصل بول

HI
ترجمہ ابھی دستیاب نہیں۔ اصل بول دکھائے جا رہے ہیں۔
inn waadiyon mein takra chuke hain humse musafir yun toh kayi dil na lagaya humne kisi se qisse sune hain yun toh kayi aise tum mile ho aise tum mile ho jaise mil rahi ho itr se hawa qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai? khamishiyon mein boli tumhari kuch iss tarah goonjti hai kaano se mere hote huve wo dil ka pata dhoondhti hai beswadiyon mein beswadiyon mein jaise mil raha ho koi zaayka qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai? qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai? aise tum mile ho aise tum mile ho jaise mil rahi ho itr se hawa qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai? godi mein pahadiyon ki ujli dopahri guzarna haaye haaye tere saath mein, accha lage sharmeeli akhiyon se tera meri nazrein utaarna haaye haaye har baat pe, accha lage dhalti hui shaam ne bataya hai ki door manzil pe raat hai mujhko tasalli hai yeh ki hone talak raat hum dono saath hain sang chal rahe hain sang chal rahe hain dhoop ke kinaare chhaaon ki tarah qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai? aise tum mile ho aise tum mile ho jaise mil rahi ho itr se hawa qaafirana sa hai ishq hai ya kya hai?

Arijit Singh کے مزید گیت

Arijit Singh →

متعلقہ بول