Main Yahan Tu Wahan (feat. Aadesh Shrivastava, Amitabh Bachchan & Sameer Anjaan)
印地语

Main Yahan Tu Wahan (feat. Aadesh Shrivastava, Amitabh Bachchan & Sameer Anjaan) 歌词

流派Pop
时长4:46
原文语言印地语
浏览量686
Aa阅读设置
文字大小 18

原文歌词

HI
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
Mai yaha too waha, jindagi hai kaha too hi too hai sanam dekhta hu jaha nind aati nahi yad jati nahi, bin tere abb jiya jaye naa mai yaha too waha, jindagi hai kaha waqt jaise thehar gaya hai yahi, har taraf ek ajab udasi hai bekarari kaa aisa aalam hai, jism tanha hai ruh pyasi hai teree surat abb ek pal kyun najar se hatati nahi rat din toh kat jate hain, umrr tanhaa katati nahi chah ke bhi naa kuchh kah saku tujhse mai, dard kaise karu mai baya mai yaha too waha, jindagi hai kaha jab kahi bhi aahat huyi, yu laga ke too aa gaya khushbu ke jhonke ki tarah meree sanse mahka gaya ek woh daur tha, ham sada pas the, abb toh hain fasle darmiya mai yaha too waha, jindagi hai kaha biti bate yad aati hain, jab akela hota hu mai bolti hain khaamoshiya, sabse chhupke rota hu mai ek aarsa huwa muskuraye huye, aansuo me dhali dastan mai yaha too waha, jindagi hai kaha too hi too hai sanam dekhta hu jaha nind aati nahi, yad jati nahi, bin tere abb jiya jaye naa

更多 Alka Yagnik

Alka Yagnik →

相关歌词