Likhe Jo Khat Tujhe
MS

كلمات Likhe Jo Khat Tujhe

النوعWorld Music
المدة4:52
اللغة الأصليةMS
المشاهدات1.1K
Aaإعدادات القراءة
حجم النص 18

الكلمات الأصلية

MS
الترجمة غير متاحة بعد. نعرض الكلمات الأصلية.
Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein hazaaron rang ke nazaare ban gaye Sawera jab huya to phool ban gaye, jo raat aayi to sitaare ban gaye Koyi nagma kahin goonja kahan dil mein yeh tu aayi Kahin chatki kali koyi main yeh samjha, tu sharmaayi Koyi khushboo kahin bikhri laga yeh zulf lehraayi Likhe jo khat tujhe... Fiza rangeen, adaa rangeen, yeh ithlaana, yeh sharmaana Yeh angdhaayi, yeh tanhaayi yeh tarsa kar, chale jaana Bana de ga nahi kisko jawaan jadoo yeh deewana Likhe jo khat tujhe.. Jahan tu hai, wahan main hoon, mere dil ki tu dhadhkan hai Musafir main tu manzil hai, main pyaasa hoon tu saawan hai Meri duniya yeh nazre hain, meri jannat yeh daaman hai Likhe jo khat tujhe...

المزيد من Mohammed Rafi

Mohammed Rafi →

كلمات ذات صلة