Bekhayali
印地语

Bekhayali 歌词

流派Pop
时长5:54
原文语言印地语
浏览量683
Aa阅读设置
文字大小 18

原文歌词

HI
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye Kyun bichhadna hai zaroori Ye sawaal aaye Teri nazdeekyon ki khushi behisaab thi Hisse mein fassle bhi tere bemisaal aaye Main jo tujhese door hoon, kyun door main rahoon Tera guroor hoon Aa tu faasla mita, tu khwaab sa mila Kyun khwaab tod doon Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye Kyun bichhadna hai zaroori Ye sawaal aaye Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye Hai ye tadpan, hai ye uljhan Kaise jee loon bina tere Meri ab sab se hai annban Bante kyun ye khuda mere Ye jo log-baag hain, jungle ki aag hain Kyun aag mein jalun Ye nakaan pyaar mein, kush hain haar mein Inn jaisa kyun banun Raatein dengi bata, neendon mein teri hi baat hai Bhoolun kaise tujhe Tu to khayalon mein saath hain Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye Kyun bichhadna hai zaroori Ye sawaal aaye Nazar ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai Dard tumhara badon mein mere zeher ki tarah utar raha hai Nazar ke aage har ik manzar ret ki tarah bikhar raha hai Dard tumhara badon mein mere zeher ki tarah utar raha hai Aa zamaane, aazma le, roothta nahin Faaslon se hausla ye toot'ta nahin Naa hai woh bewafa aur na main hoon bewafa Woh meri aadton ki tarah chhoot'ta nahin

更多 Arijit Singh

Arijit Singh →

相关歌词